aey dushman-e jaan dekh zara meri taraf bhi.
Dil shorish-e paiham hai, nazar waqf-e khamoshi
main ronaq-e toofaan bhi hoon, saahil ka sharaf bhi.
Aey dost tere baad sar-e koo-e tamanna
hum log rahe sang-e malaamat ka hadaf bhi.
Tu jins-e khirad le ke bikhar ja kahin warna
aayega koi sang-e junoon teri taraf bhi.
Mohsin’ main faqat khaak-e shifa par nahin naazan
Sajdon ko mayassar hai dar-e- shaah-e najaf bhi
Bichhde hue yaaron ki sada kyon nahin aati,
ab roozan-e zindaan se hawa kyon nahin aati .!
Tu ab bhi salaamat hai safar mein toh musaafir,
tere liye honthon pe duaa kyon nahin aati .!
Patthar ho toh kyon khauf-e shab-e ghum se ho larzaan,
insaan ho toh jeene ki adaa kyon nahin aati .!
Ek pedd ke saaye se hawa poochh rahi hai,
ab dasht mein makhlooq-e Khuda kyon nahin aati .!
Chehron pe woh sarson ki dhanak kya hui yaaro,
haath’on se woh khushbu-e hina kyon nahin aati .!
Basti ke sabhi log salaamat hain toh ‘Mohsin
aawaaz koi apne siwa kyon nahin aati