ye dil kabhi bhi is tarah weeraan toh na tha. !
Jaise hua hai ab ke woh halaat se mere,
pahle kabhi woh is tarah anjaan toh na tha. !
Woh shehar se gaya hai toh raunaq bhi le gaya,
ye shehar is tarah kabhi sunsaan toh na tha. !
Ek Pyar ki jaageer ka maalik tha main kabhi,
pahle se yun hi be’sar-o saamaan toh na tha. !
Mohsin’ hum ne ishq mein paaya naffa bahut,
is kaarobaar mein koi nuqsaan toh na tha. !!
Chiraag e dasht say zinda jala gaya mujko...
ye dard raat k lamhon mein kha gaya mujko
hamen to phool ki khushbu pe neend Aati thi
na jane khaak pe kaise sula gaya mujko
yahan to waqt ki Aankhon se khoon tappakta hai
ye mezbaan kahan pr bitha gaya mujko
tere hijaab ko chhu kar hawaen Aati hain
yehi khayal to pathar bana gaya mujko
hamare zabt ki dunya misal deti thi
m0hsin
nikal ke Aankh se Aansu rula gaya mujhko
-----------------------------------------
Wo Jo Mohabbat K Naam Se Na-Waqif Thi,
Mumkin Hai K Wo Mohabbat Ka Ehtram Karta